Aaj kal ma'ashray mein bardasht khatam ho gayi hai.


 Aaj kal ma'ashray mein bardasht khatam ho gayi hai.

Beta baap ki baat, biwi shohar ki baat aur bahu saas ki baat bardasht nahi karte. Gharaz rishta koi bhi ho, apna ho ya ajnabi ho, bardasht hamare ma'ashray mein khatam ho chuki hai.

Bachon ki ladaai mein log khandaani dushmaniyaan tak chale jaate hain.

Zameen jaaydaad ke jhagdon mein log apnon ke dushman ban jaate hain.

Ek chhoti si ghalti par shuru hone wali ladaaiyaan kisi ki maut ka toh kisi umar bhar ki jail ka muqaddar ban jaati hain.

Yeh sab bardasht ka na hona, ehsaas khatam ho jaana hai. Agar koi bhi ghalat alfaaz bolne ya ghalat qadam uthaane se pehle insaan is waaqiye ke baad hone wala manzar agar 5 minute pehle apne dimaagh mein soch le toh shaayad aise waqiaat na hon.

Hum sab ko mil kar is ma'ashray mein bardasht qaim karni chahiye.

Siyasi ikhtilaafaat rakhein lekin kabhi bhi doosron rishte daaron mein kahin bhi baith kar siyasi behas na karein. Koi kisi leader ko bura kehta hai toh kehne dein, aap sun lein uski baatein bajaaye iske aap usse ikhtilaaf karein ya koi raaye dein.

Baap daant raha hai toh khamoshi se sun lein, aap agar haq par bhi hain toh chup rahein jab halaat normal hon toh apna mauqif dein.

Miyaan biwi ek doosre ki baaton ko bardasht karein, bahu saas ki baat bardasht karein chahe woh haq par bhi hai toh yeh soch kar ke woh uske shohar ki maa hai.

Raah chalte kisi se takkar hoti hai toh bajaaye iske woh pehle kuch bole aap badappan kar ke ma'azrat kar ke haal poochh lein.

Koi ghussa mein bolta hai toh khamosh rahein aur bardasht kar jaayein, aap ki khamoshi uska ghuroor khaak mein mila de gi.

Koi aap ko kehta hai ke woh badmaash hai toh usse keh dein haan aap bahut bade badmaash ho mera aap se muqaabla nahi.

Mulaazim kuch ghalat karta hai toh us par ghussa karne ki bajaaye usse samjha dein woh wohi shakhs hai jo aap ko kama ke de raha hai.

Koshish karein khud mein tabdeeli laayein taa ke ma'ashray mein badlaao aa sake."




اردو میں 

آج کل معاشرے میں برداشت ختم ہوگئی ہے۔

بیٹا باپ کی بات، بیوی شوہر کی بات اور بہو ساس کی بات برداشت نہیں کرتے غرض رشتہ کوئی بھی ہو اپنا ہو یا اجنبی ہو برداشت ہمارے معاشرے میں ختم ہو چکی ہے۔

بچوں کی لڑائی میں لوگ خاندانی دشمنیاں تک چلے جاتے ہیں۔

زمین جائیداد کے جھگڑوں میں لوگ اپنوں کے دشمن بن جاتے ہیں۔

ایک چھوٹی سی غلطی پر شروع ہونے والی لڑائیاں کسی کی موت کا تو کسی عمر بھر کی جیل کا مقدر بن جاتی ہیں۔

یہ سب برداشت کا نا ہونا، احساس ختم ہو جانا ہے۔ اگر کوئی بھی غلط الفاظ بولنے یا غلط قدم اٹھانے سے پہلے انسان اس واقعہ کے بعد ہونے والا منظر اگر 5 منٹ پہلے اپنے دماغ میں سوچ لے تو شائد ایسے واقعات نا ہوں۔

ہم سب کو مل کر اس معاشرے میں برداشت قائم کرنی چاہیئے۔

سیاسی اختلافات رکھیں لیکن کبھی بھی دوسروں رشتے داروں میں کہیں بھی بیٹھ کر سیاسی بحث نا کریں۔ کوئی کسی لیڈر کو برا کہتا ہے تو کہنے دیں آپ سن لیں اس کی باتیں بجائے اس کے آپ اس سے اختلاف کریں یا کوئی رائے دیں۔

باپ ڈانٹ رہا ہے تو خاموشی سے سن لیں، آپ اگرحق پر بھی ہیں تو چپ رہیں جب حالات نارمل ہوں تو اپنا موقف دیں۔

میاں بیوی ایک دوسرے کی باتوں جو برداشت کریں، بہو ساس کی بات برداشت کریں چاہے وہ حق پر بھی ہے تو یہ سوچ کر کے وہ اس کے شوہر کی ماں ہے۔

راہ چلتے کسی سے ٹکر ہوتی ہے تو بجائے اسکے وہ پہلے کچھ بولے آپ بڑاپن کر کے معزرت کر کے حال پوچھ لیں۔

کوئی غصہ میں بولتا ہے تو خاموش رہیں اور برداشت کر جائیں، آپ کی خاموشی اسکا غرور خاک میں ملا دے گی۔

کوئی آپ کو کہتا ہے کہ وہ بدمعاش ہے تو اسے کہہ دیں ہاں آپ بہت بڑے بدمعاش ہو میرا آپ سے مقابلہ نہیں۔

ملازم کچھ غلط کرتا ہے تو اس پر غصہ کرنے کی بجائے اسے سمجھا دیں وہ وہی شخص ہے جو آپ کو کما کے دے رہا ہے۔

کوشش کریں خود میں تبدیلی لائیں تا کہ معاشرے میں بدلاؤ آ سکے۔

Previous Post Next Post